शब को दूर जाने दो
*******
ज़िन्दगी को टूट जाने दो, कलम भी छूट जाने दो
उसको जाने का बहाना चाहिए, रूठा है रूठ जाने दो।

साझे एहसासों से बना था, कल मन का एक घरौंदा
अब कहता है मुझको, तसव्वुर से भी दूर जाने दो।
दस्तूर मालूम है उसे भी, उम्र की नादानियों की
फ़ासले उम्र के हों या मन के, भ्रम टूट जाने दो।
जितनी मोहब्बत की उसने, उतनी ही नफ़रत भी
कब किसका पलड़ा भारी, अब मुझे भूल जाने दो।
शिकवा बहुत किया है ज़िन्दगी से, अब न करेंगे
ग़म और मिले इससे पहले, ज़िन्दगी छूट जाने दो।
ख़्वाहिशें तो मिटी नहीं कभी, जिन्हें पाला हमने वर्षों
थम-सी गई है ज़िन्दगी, अब साँसों को टूट जाने दो।
रूह से नाता जोड़कर, जन्म दिए हम एक संतान देव
तुम्हें सौंपती हूँ उस अनाथ को, 'शब' को दूर जाने दो।
- जेन्नी शबनम (22. 10. 2009)
____________________________________________
shab ko door jaane do
*******
zindgi ko toot jaane do, kalam bhi chhoot jaane do
usko jaane ka bahaana chaahiye, rootha hai rooth jaane do.
saanjhe ehsaason se banaa thaa, kal mann ka gharaunda
ab kahtaa hai mujhko, tasauur se bhi door jaane do.
dastoor maaloom hai use bhi, umra kee naadaaniyon kee
faasle umra ke hon ya mann ke, bhrum toot jaane do.
jitnee mohabbat kee usne, utnee hi nafrat bhi
kab kiska paldaa bhaari, ab mujhe bhool jaane do.
shikwa bahut kiya hai zindagi se, ab na karenge
gham aur mile isase pahle, zindagi chhoot jaane do.
khwaahishen to kabhi mitee nahee, jinhein paalaa humne varshon
tham-see gayee hai zindagi, ab saanson ko toot jaane do.
rooh se naata jod kar, janm diye hum ek santaan dev
tumhein saunptee us anaath ko, 'shab' ko door jaane do.
- Jenny Shabnam (22. 10. 2009)
_____________________________________