सोमवार, 2 अगस्त 2010

161. हमारे शब्द / humaare shabd

हमारे शब्द

*******

शब्दों के सफ़र में
हम दोनों ही हुए लहूलुहान,
कोई पिघलता सीसा
या खंजर की धार
बस कर ही देना है वार 

आर पार कर दे रही
हमारे बोझिल रिश्तों को
हमारे शब्दों की कटार 

किसके शब्दों में तीव्र नोक?
ढूँढते रहते दोषी कौन?

प्रहार की ताक लगाए
मौका चुकने नहीं देना
बस उड़ेल देना है खौलते शब्द 

पार पा जाना है
तमाम बंधन से
पर नहीं जा सके कभी,
साथ जीते रहे
धकेलते रहे
एक दूसरे का क़त्ल करते रहे
हमारे शब्द

- जेन्नी शबनम (2. 8. 2010)
_________________________

humaare shabd

*******

shabdon ke safar mein
hum donon hi huye lahuluhaan,
koi pighalta shisha
ya khanjar ki dhaar
bas kar hin dena hai waar.

aar paar kar de rahi
hamaare bojhil rishton ko
hamaare shabdon ki kataar.

kiske shabdon mein tivrr nok?
dundhte rahte doshi koun?

prahaar ki taak lagaaye
mouka chukne nahin dena
bas udel dena hai khoulate shabd.

paar pa jaana hai
tamaam bandhan se
par nahin ja sake kabhi,
saath jite rahe
dhakelate rahe
ek dusare ka qatl karte rahe
humaare shabd.

- Jenny Shabnam ( 2. 8. 2010)
________________________

11 टिप्‍पणियां:

  1. पार पा जाना है
    तमाम बंधन से
    पर नहीं जा सके कभी,
    साथ जीते धकेलते रहे
    एक दूसरे का क़त्ल करते रहे
    हमारे शब्द !
    Na jane kitnon kee sachhayi yahi hai!

    जवाब देंहटाएं
  2. आपकी यह रचना बहुत सुंदर लगी... दिल को छू गयी...

    आभार...

    जवाब देंहटाएं
  3. Beautiful....
    Shabd kitne maayane rakhte hain....agar sahi tarah aur sahi jagah upyog nahin kiya to kya se kya ho sakta.....
    kavita ko hi lo, shabdon ka laDi main pirona uska saundarya hi badal deta hai...

    जवाब देंहटाएं
  4. बहुत करीब के अहसास ...सुन्दर रचना!

    जवाब देंहटाएं
  5. शब्द सच ही बहुत कुछ कह भी जाते हैं और कर भी जाते हैं ...

    जवाब देंहटाएं
  6. प्रहार की ताक लगाए
    मौका चुकने नहीं देना
    बस उड़ेल देना है खौलते शब्द... waah , kya sach kaha hai

    जवाब देंहटाएं
  7. प्रहार की ताक लगाये ये शब्द ...
    मौके की तलाश में रुके रहते हैं कुछ अँगुलियों पर ...
    शहद भरे मीठे पगे भी तो होते हैं शब्द ....
    उनका स्वर इतना धीमा क्यों होता है कि कोई सुन ना सके ...!

    जवाब देंहटाएं
  8. shbnm ji aap ke alfaaz sbnm ki trh nm hen or inmen isi trh ki thndk he. bdhaayi ho . akhtar khan akela kota rajsthan

    जवाब देंहटाएं
  9. ye shabd kabhi deekhata hai pyar to kabhi karta hai prahar.....:)

    shaandaar rachna.........jenny jee!!

    kya khub sochte ho aap:)

    जवाब देंहटाएं
  10. किसके शब्दों में तीव्र नोक?
    ढूंढ़ते रहते दोषी कौन?

    bhavo ki abhivykti .dekhate hi banati hain

    shbd aur bhavo ka sundar samayojan .

    जवाब देंहटाएं
  11. @ kshama ji,
    meri rachna ko aatmsaat karne keliye hriday se shukriya.

    @ mahfooz sahab,
    rachna se judaav mehsoos karne ka bahut shukriya.

    @ arvind bhai,
    sahi kaha ki shabd kitne maayene rakhte hain. ek shabd kya ek maatra bhi ulat pulat aur bhaav bilkul badal jaate. meri rachna aapko pasand aai bahut aabhar.

    @ sameer ji,
    bahut aabhari hun sarahna keliye.

    @ sangeeta ji,
    rachna ko sarahne ka bahut shukriya.

    @ rashmi ji,
    rachna ki prashansa keliye bahut aabhar.

    @ vaani geet,
    bahut sahi kaha, aise shahd bhare meethe shabd ab mann mein aate hin nahin, shayad waqt aur umra us meethepan ko dheere dheere chus kar kadwa bana deti hai.
    shukriya rachna ko itne dhyan se padhne keliye.

    @ akhtar sahab,
    ye shabd aur zubaan hin to sab hai prem aur nafrat failaati. meri rachna aapko pasand aai, bahut shukriya.

    @ mukesh bhai,
    isi shabd se to aap bhai bane aur isi shabd ke karan meri kavita bhi padhte hain aap. ab to shabd ki mahima samajh lijiye. shukriya meri rachna ki prashansa keliye.

    @ kishor bhai,
    meri rachna ke har bhaav ko mehsoos karne aur sarahne keliye bahut aabhar.

    जवाब देंहटाएं