रविवार, 8 नवंबर 2009

94. तुम कहाँ गए (तुकांत) / tum kahaan gaye (tukaant)

तुम कहाँ गए

*******

एक साँझ घिर आयी है मन पर
मेरी सुबह लेकर तुम कहाँ गए?

एक फूल खिला एक दीप जला
सब बुझाकर तुम कहाँ गए?

बीता रात का पहर भोर न हुई
सूरज छुपाकर तुम कहाँ गए?

चुभती है अब अपनी ही परछाईं
रौशनी दिखाकर तुम कहाँ गए?

तुम्हारी ज़िद न छूटेगा दामन
तन्हा छोड़कर तुम कहाँ गए?

वक़्त-ए-रुख़सत आकर मिल लो
सफ़र अधूरा कर तुम कहाँ गए?

'शब' की बस एक रात अपनी
वो रात लेकर तुम कहाँ गए?

- जेन्नी शबनम (7. 11. 2009)
______________________________

tum kahaan gaye

*******

ek saanjh ghir aayee hai mann par
meri subah lekar tum kahaan gaye?

ek phool khilaa ek deep jalaa
sab bujhaa kar tum kahaan gaye?

beetaa raat ka pahar bhor na huee
sooraj chhupaa kar tum kahaan gaye?

chubhtee hai ab apnee hin parchhayeen
raushanee dikhaa kar tum kahaan gaye?

tumhaari zidd na chhutegaa daaman
tanhaa chhod kar tum kahaan gaye?

waqt-ae-rukhsat aakar mil lo
safar adhuraa kar tum kahaan gaye?

'shab' kee bas ek raat apnee
wo raat lekar tum kahaan gaye?

- jenny shabnam (7. 11. 2009)
___________________________________