न बीतेंगे दर्द के अंतहीन पल
*******
स्मृति की गहरी खाई में, फिर उतर आई हूँ
न चाहूँ फिर भी, वक़्त बेवक़्त पहुँच जाती हूँ
कोई गहरी टीस, सीने में उभरती है
कोई रिसता घाव, रह-रहकर याद दिलाता है।
*******
स्मृति की गहरी खाई में, फिर उतर आई हूँ
न चाहूँ फिर भी, वक़्त बेवक़्त पहुँच जाती हूँ
कोई गहरी टीस, सीने में उभरती है
कोई रिसता घाव, रह-रहकर याद दिलाता है।
मानस पटल पर अंकित, कोई अभिशापित दृष्य
अतीत के विचलित, वक़्त का हर परिदृष्य
दर्द की अकथ्य दास्तान, जो रहती अदृष्य।
दुःस्वप्नों की तमाम परछाइयाँ, पीछा करती हैं
कैसे हर रिश्ता अचानक, पराया बन बैठा
सभी की निगाहों में, तरस और दया का बोध
बिचारी का वो संबोधन, जो अब भी बेध जाता है मन।
आज ख़ुद से फिर पूछ बैठी -
किसे कहते हैं बचपन? क्या किसी के न होने से सब ख़त्म?
एक और सवाल ख़ुद से -
क्या सच में कुँवारी बाला मदमस्त चहकती है?
मैं चहकना क्यों भूली?
बार-बार पूछती -
क्यों हमारे ही साथ? कौन बचाएगा गिद्ध दृष्टि से?
कई सवाल अब भी -
क्यों उम्र और रिशतों के मायने बदल जाते हैं?
क्यों मझधार में छोड़ सब पार चले जाते हैं?
न रुका न माना न परवाह, चाहे संसार हो या वक़्त
मैं भी नहीं रुकी, हर झंझावत पार कर गई
पर वो टीस और बिचारी के शब्द
फ़फोले की तरह अक्सर सीने में उभर आते हैं
यूँ बीत तो गए, खौफ़ के वर्ष, पर
उफ़! न बीतेंगे दर्द के अंतहीन पल!
- जेन्नी शबनम (18. 7. 2010)
(पिता की पुण्यतिथि)
____________________________
na beetenge dard ke antaheen pal
*******
smriti ki gahri khaai mein, fir utar aai hun
na chaahun fir bhi, waqt bewaqt pahunch jaati hun
koi gahri tees, sine mein ubharti hai
koi rista ghaav, rah-rahkar yaad dilaata hai.
maanas patal par ankit, koi abhishaapit drishya
ateet ke vichalit, vaqt ka har paridrishya,
dard ki akathya daastan, jo rahti adrishya.
duhswapnon ki tamaam parchhaaiyan, pichha karti hain
kaise har rishta achaanak, paraaya ban baitha
sabhi ki nigaahon mein, taras aur daya ka bodh
bichaari ka wo sambodhan, jo ab bhi bedh jata hai mann.
aaj khud se fir puchh baithi -
kise kahte hain bachpan? kya kisi ke na hone se sab khatm?
ek aur sawaal khud se -
kya sach mein kunwaari baala madmast chahakti hai?
main chahakna kyon bhooli?
baar baar puchhti -
kyon humaare hi saath? koun bachaayega giddh drishti se?
kayee sawaal ab bhi -
kyon umra aur rishton ke maayane badal jaate hain?
kyon majhdhaar mein chhod sab paar chale jaate hain?
na ruka na maana na parawaah, chaahe sansaar ho ya waqt
main bhi nahin ruki, har jhanjhaawat paar kar gai
par wo tees aur bichaari ke shabd
fafole ki tarah aksar sine mein ubhar aate hain
yun beet to gaye, khouf ke varsh, par
uf! na beetenge dard ke antaheen pal!
- jenny shabnam (18. 7. 2010)
(pita kee punyatithi)
_________________________________