दुआ मेरी अता कर
*******
अक्सर सोचती रही हूँ अपनी मात पर
क्यों हर दोस्त मुझको दग़ा दे जाता है,
इतनी ज़ालिम क्यों हो गई है ये दुनिया
क्यों दोस्त दुश्मनों-सा घात दे जाता है।
*******
अक्सर सोचती रही हूँ अपनी मात पर
क्यों हर दोस्त मुझको दग़ा दे जाता है,
इतनी ज़ालिम क्यों हो गई है ये दुनिया
क्यों दोस्त दुश्मनों-सा घात दे जाता है।
कौन बदल सका है कब अपना नसीब
ग़र ख़ुदा मिले भी तो अचरज क्या है,
किसी शबरी को मिलता नहीं अब राम
आह! प्रेम की वो सीरत जाने क्या है।
क़ीमत देकर ख़रीद पाती ग़र कोई पल
जान दे दूँ कुछ और बेशकीमती नहीं है,
दे दे सुकून की एक साँस, मेरे अल्लाह
चाहे आख़िरी ही हो कोई ग़म नहीं है।
मालूम नहीं कब तक है जीना यूँ बेसबब
या रब! मुक़र्रर अब तारीख़ आख़िरी कर,
'शब' आज़ार, रंज दुनिया का दूर हो कैसे
ऐ ख़ुदा! फ़ना हो जाऊँ दुआ मेरी अता कर।
______________________
आज़ार - दुखी
______________________
- जेन्नी शबनम (16, 12, 2009)
_________________________________
dua meri ataa kar
*******
aksar sochti rahi hun apni maat par
kyon har dost mujhko dagaa de jata hai,
itni zaalim kyun ho gayee hai ye duniya
kyon dost dushmanon-saa ghaat de jata hai.
kaun badal sakaa hai kab apna naseeb
gar khuda mile bhi to achraj kya hai,
kisi shabri ko milta nahin ab raam
aah! prem kee wo seerat jaane kya hai.
keemat de kar khareed paati gar koi pal
jaan de dun kuchh aur beshkeemati nahin hai,
de de sukoon ki ek saans, mere allah
chaahe aakhiri hin ho koi gam nahin hai.
maaloom nahin kab tak hai jeena yun besabab
yaa rab! mukarrar ab taareekh aakhiri kar,
'shab' aazaar, ranj duniya ka door ho kaise
ae khuda! fana ho jaaun dua meri ataa kar.
________________________________
aazaar - dukhi
________________________________
- Jenny Shabnam (16. 12. 2009)
___________________________________
*******
aksar sochti rahi hun apni maat par
kyon har dost mujhko dagaa de jata hai,
itni zaalim kyun ho gayee hai ye duniya
kyon dost dushmanon-saa ghaat de jata hai.
kaun badal sakaa hai kab apna naseeb
gar khuda mile bhi to achraj kya hai,
kisi shabri ko milta nahin ab raam
aah! prem kee wo seerat jaane kya hai.
keemat de kar khareed paati gar koi pal
jaan de dun kuchh aur beshkeemati nahin hai,
de de sukoon ki ek saans, mere allah
chaahe aakhiri hin ho koi gam nahin hai.
maaloom nahin kab tak hai jeena yun besabab
yaa rab! mukarrar ab taareekh aakhiri kar,
'shab' aazaar, ranj duniya ka door ho kaise
ae khuda! fana ho jaaun dua meri ataa kar.
________________________________
aazaar - dukhi
________________________________
- Jenny Shabnam (16. 12. 2009)
___________________________________