गुरुवार, 12 नवंबर 2009

97. इंसानियत मरती है (तुकांत) / Insaaniyat martee hai (tukaant)

इंसानियत मरती है

*******

गुनहगारों को आजकल राहत मिलती है
बेगुनाही सज़ा और ज़िल्लत से घिरती है 

कैसे हो फ़ैसला किसी की मासूमियत का
आजकल मासूमियत सरे-आम बिकती है 

इंसानी मनसूबे की परख मुमकिन नहीं
हर चेहरे पे हज़ार पर्द-पोशी दिखती है 

दुनिया के दश्त में हर शख्स है भटकता
सबकी तक़दीर में ज़मीन कहाँ टिकती है 

मतलब-परस्ती भर है सियासी बाज़ीगरी
टुकड़ों में बँटती मादरे-वतन सिसकती है 

अजब इत्तेफ़ाक एक राष्ट्र में महाराष्ट्र बसा
तंगदिल इतना जहाँ राष्ट्र-भाषा पिटती है 

दहशतगर्दों ने ख़ुदा को न बख़्शा 'शब'
बज़्मे-ऐश देखो जब इंसानियत मिटती है 
____________________

बज़्मे-ऐश - ख़ुशी का जलसा
____________________

-जेन्नी शबनम (15. 8. 2009)
________________________________


Insaaniyat martee hai

*******

gunahgaaron ko aajkal raahat miltee hai
begunaahi saza aur zillat se ghirtee hai.

kaise ho faisla kisi ki maasoomiyat ka
aajkal maasoomiyat sare-aam biktee hai.

insaani mansoobe kee parakh mumkin nahin
har chehre pe hazaar pard-poshi dikhtee hai.

duniya ke dasht mein har shakhs hai bhataktaa
sab kee taqdeer mein zameen kahaan tikatee hai.

matlab-parasti bhar hai siyaasi baazigari
tukadon mein bantatee maadare-watan sisakatee hai.

ajab ittefaaq ek raashtra mein maharashtra basaa
tang dil itnaa jahaan rashtra-bhasha pita.tee hai.

dahshatgardon nein khuda ko na bakhsha 'shab'
bazme-aish dekho jab insaaniyat mitatee hai.
__________________________

bazme-aish - khushi ka jalsaa
___________________________

- Jenny Shabnam (15. 8. 2009)
___________________________________